|
Shair Shayari
Shayari!!!!
Shokki hein najakat hein , aankhoon mein shararat hein Aisa bhi sharmana kya ,kah do ki mohabbat hein Aah!!! kahne ki jaroorat kya,baaton ki hakeekat kya chhalke na nigahoon se aisi bhi mohabbat kya!!! Tapat Sooraj mein hoti hain Tadapna sabko padta hain kasoor aankhon ka hota hai Tadapna dil ko padta hai Tu kaatil tera chehra kaatil Chehre ka ye kala til bhi katil bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina ki kahin mar na de katil ko katil Bikhari hui zulfoon ko girahgeer bana lo, rakhna hai mujhe kaid to zanjeer bana lo kaagaz pe lakeeren to bahut kheech le tumne, ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao Itna ruk ruk ke chalogi to quayaamat hogi. Saamne baithe raho dil ko qaraar aa'aegaa Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa cheez hai ishq kiijiye phir samajhiye; zi.ndagii kyaa cheez hai Mast nazaron se kyon dekha, gar tamanna thi aazmaane ki hum to yoon hi ghayal they, kya zaroorat thi muskurane ki Chand agar nikal aaye, to ye raat sunahi ho jaye tum bhi gar aa jao kareeb, to mausum aur bhi rumani ho jaye Yahi andaaz to bas unke sitam dhaate hain Na wo rukte hain, na aane ki kasam khaate hain Khaas Likha Hai Khat Mein, Zara Ahista Boliyega Bhej Raha Hoon Dil Apna, Zara Ahista Kholiyega Khuda jab husn deta hai To nazaaqat aa hi jaati hai Kitna bhi sambhalke rakho paer Kamar bal khaa hi jaati hai ! Sapney dekhta hain raat ko aashiqui ke, Aur darta hain ki jaldi subah na ho Mashooq dhoondta hain khoobsurat koi, Par darta hain ki voh bewafa na ho Teri aankhon mein dekhi hai, Pyar ki chahat humne, Juban se ikrar kar lo, to yakin ho jaye !! Dil diya aitbar ki had thi Jaan de di yeh mere pyar ki had thi Mar kar bhi aankhen khuli rah gayi Aur kuch nahi yeh tere intezar ki had thi Mere Marne Ke Baad Mere Sene Se Dil Nikal Lena Kahi Woh Na Jal Jaaye Jo Mere Dil Me Rehte Hai. (True love) Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Buj jaya Karte Hai Aur ek hum hai; jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai Shaam hote hi chiragon ko bujha deta hoon Yeh dil hi kaafi hai teri yaad main jalne ke liye Roz Taron kee numaa-ish mein khalal padta hai Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai" Jis shaam mere lab per tera naam na aaye, Khuda kare aisi shaam na aaye.... Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin, Afsaana likhnu aur tera naam ma aaye. Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi Tu is tarah se mere dil main shamil hai Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai Chiraagon Ki Roshni Jab Zara Hili, Laga Tumahari Ek Aahat Si Mili Jaake Dekha Jab Dar Pe, To Phir Wahi Kafir Hawa Mili Mere khuda mujhe thodi si zindagi dede Udaas mere janaaze se jaa raha hai koi ye zaruurii nahii har shakhs masiihaa hii ho pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaayaa na karo Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad Ho gayi hai mashoor bewafai kuch is kadar unki, Zikar aaya mera mehfil main to jhuk gayi nazar unki. Tumhari berukhi ne laaj rakh li maikhane ki, Tum aankhon se pila dete, to paimane kaha jaate Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga Na Ho Yakin To Jhaak Lena Apni Doli Se Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga Kayi Log honge Tere Zanaze Ke Peeche, Par ek Mein Na hoonga Tere Zanaze Ke Peeche, Aur mai honga Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche, Jo Mera Zanazaa aa raha hoga Tere Zanaze Ke Peeche. Hamse Kare Woh Pyar Izhaar Kisi Aur Se Kare Khuda Kare Jis Se Kare Woh Izhaar Woh Bhi Pyar Kise Aur Se Kare Hal-e-dil likhna chahta tha mai khat mein, kis tarah jal raha tha uski mohaabat mein Do lafz likhte hi kalam huee kharab, Isne bhi na saath diya ulfaat mein..... Mere Paas Se Woh Gujri Mera Haal Tak Na Pucha Me Kaise Yakin Kar Lu Ki Woh Door Jakar Ke Roi. Baat chalii teri aankhon se, jaa pahunchii paimaane tak kheench rahi hai terii ufat aaj mujhe maiKhaane tak Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil, haan yoon bhi aksar nikal aate hai aasoon Wafa ka naam na lo yaron, Wafa dil ko dukahati hai. Wafa ka naam lete hi, hume ek bewafa ki yaad Aati hai Hawa gharon mein kahan itni tez chalti hai magar use to hamara diya bujhana tha Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye na salaam yaad rakhna na paigaam yaad rakhna ho sake tho zindagi mein hamara naam yaad rakhna Kaun rakhta hai yaad naamo ko, logh insaan ko bhool jaya karte hai. tum samandur ke baat karti ho, logh aankho mein doob jaya karte hai. dil ki haalat wo samjhe ki jisne chot khayee hai ek baar nahi, kai baar, ye zahamat jisne uthai hai jisko ab har shakhs nazar aata harjaai hai jisne bas todne ke liye hi kasam khayee hai tum kya jano muhabbat ki raah mein kitni ruswayi hai tumhaari aankhon mein to bas TIDDI samayi hai khakar ke do chot, janaab khud ko sayana samjhte hain?!, lab pe nahi laate, magar aahen hum dil mein bharte hai, ruswayi karna, pichli baato pe, nahi hai samajhdari, badal de apne khayalaat, nahin to rah jayegi tu kuwari!! mana ki dil toota hai kai baar lekin humne kab kaha ki hum sayane hain arre itna bhi nahi samjhe huzoor hamdardi haasil karne ke bahane hain hamdardi kar sakte hain woh, khud ka dard jinka ho kam, bedard na samjhna hamko tum, apne bhi hai yaroon laakhon gam. bedard hame samajhte hai wo par bedard hum hain nahi humse apna hal-e-dil wo aakar kabhi kahen to sahi !! sunane gaye the unhe haal-e-dil, dard unka sunkar ro aaye magar. dekhte hai duniya ki aankhon se, aashiqon ki yehi aadat kharab hai dil ki aankhon se dekhe gar koi, har haseen ko samjhna aasan hai sochta hoon gar koi aisa raasta hota, ki har haseen ko samajhna kuch aasan hota to hota har shaksh aashique, sabka hota fasana aur fir isque ki keemat na samajhta ye zamana log kehte hein , wah kaise shabnam chhai hai, unhe kya maloom, chand ne ro ke raat bitai hai Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh, Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein, Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein. Jaane kitne armaan bevajeh aansuon mein dhal jaate hain hota hai kabhi yoon bhi ke tabbasum se lub chhil jaate hain Raste main gire hain phool, Uthata hai koi koi Muhabbat karte hain sabhi, Nibhata hai koi koi Aye Dost tu itna badkalam na ho ki kabhi karib se gujrae to dua-salam na ho Dil mai haazaar gila shikva ho Magar Yeh nahi mumkin Tum aao mere ghar mein aur ahitram na ho Haazaar Dusmani Ho tumse,magar Khuda karen Dil mein kabhi ahsaa..sen intekam na ho Dushmani jam kar karo magar ye gunjayish rahe jab kabhi hum dost ho jaye to sharminda na ho Aey Dost:-- " Zindagi mein pyar tu bahut baar ho jaata hein par Mohabbat sirf ek baar hooti hein. Kyon tum Mohabbat ko Dosti ka naam dekar mohaabbat aur dosti doono ko badnaam kar rahe ho" " Vo jaanti hai ki tum jaante ho ki vo tumse pyar karti hai to phir kyon Itrate ho, kahe us kali ko aise tadpaate ho" Mohabat Ka Naam Dekar Sitam Izaad Kar Dalaa Hasinou Ne Jise Chaha Use Barbad Kar Dalaa O n T h e L i g h t e r S i d e Mat pee sharab galib mazjid mein baith kar, Mat pee sharab galib mazjid mein baith kar, Ek hi botal hai kahin khuda na mang le. Yeh tera chehra hai yaa kele kaa chhilka... Yeh tera chehra hai yaa kele kaa chilka... Jo dekha tho dil phisal he gaya. Mainee tumhari yaadon mein.. ro ro ke tub bhar diye... Aur tum itney be-wafa nikle, ki nahake chal diye!!! Voh sadak ke is paar thi hum sadak ke us paar they kuch hum aage badhe, kuch voh aage badhi hum kuch aur aage badhe, voh bhi kuch aur aage badhi hum kuch aur aage badhe, voh bhi kuch aur aage badhi ab hum sadak ke us paar they, aur voh sadak ke is paar thi. Aur bhi cheezen bahut si lut chukin hain dil kei saath Yeh batayaa doston nei ishq furmanei kei baad. Ab kamre ki ek ek cheez check karta hoon mai, Ek tere aane se pehley ek tere jaane kei baad. Tum aa gaye ho; noor aa gaya hai chalo teeno movie chalen. Aasmaan mein ud raha hai kabootar... Aasmaan mein... ud raha hain kabootar, Flutter Flutter, Flutter Flutter. Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu... magar teri bahti hui naak ne iraada badal diya.... Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote..... kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote..... chand to tu hai hi ..sitaare bhee saaath hote !!! Pyar mein kisine Dhoka to kisine kasam khayi hai Par hum wo majnoo hai jisne sirf laat khayi hai. Maine tujhe pyar kiya Tere baap nai mujhe peeta Maine tujhe pyar kiya Tere baap nai mujhe peeta Tan ki Shakti,Man ki Shakti, Bournvita Jise dil diya woh dilli chali gayi jise pyar kiya woh italy chali gayi dil ne kahaa khud kushi kar le jalim bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi Door se dekha to Patthhar dikhta tha.. Dooor se dekha.. to Patthharr dikhtaa thaa... Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa... Door se dekha to kuchh dikha nahi... Dooor se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi..... Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi Door se dekha to paani baras raha tha Door se dekha to paani baras raha tha Paas gaya... to bheeg gaya. Ladki boli: Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi, Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi, Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi. Ladka bola : Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga, Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga, Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga. Mashooka: Lagta hai meri aankh mein kuch gir gaya, dekho to..... Mashook: Darling, ek tinka dikh to raha hai... kyon na usey wahin rahne diya jaye... main doobonga to sahara dega...... Bewafa sanam se to cigarette achi hai, Bewafa sanam se to cigarette achi hai, Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai Before marriage: takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hoon lekin mumtaz nahi milti After marriage: takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hu lekin mumtaz nahi marti Jaane Kis Gam Mey Log Peetey Hain Hum to bina gam ke hi peetey hain. Bahut peete the hum...usne kasam dilaake chhudaadi bahut peete the hum...usne kasam dilaake chhudaadi yaaron ke sang baitthe the.....USKI kasam dilaake pilaadi! Aur aakhiri mai kuch yu kaha hai: Aadmi ke khwaaisho ki koi intehaa nahi Do gaz zameeN bhi chahiye, do gaz kafan ke baad
|
|
|
|
|
|
|